Ad Code

Free Hosting

Virtual Aadhaar ID Card Kya Hota Hai? UIDAI VirtualAadhaarID

Bharat mai aadhaar card ek important Identity card ban gaya hai. saal 2017 mai bharat sarkar dwara aadhaar card say bahut si jankariyo ko link kiya gya hai. iske bawajood bharat sarkar ko virtual aadhaar card ID lane ki jarurat kyu padi.

आधार कार्ड Virtual ID क्या है? , Virtual Aadhaar ID Card Kya Hota Hai? , Virtual Aadhaar ID

Bahut saari agencies or media companies ka kehna hai ki aadhaar card ka 12 digit ID number sabhi jagah share karna safe nahi hai. Kyuki aaj ki tarikh mai apke aadhar card say bahut saari cheje judi hui hai jaise apka Bank Account, Pan Card, Mobile Number, Gas connection or aney wale samay mai bahut si aisi chejey issey judengi. Iski wajah say bahut si media keh rahi hai ki agar koi apka aadhaar number jaan leta hai to ussey linked apna Bank Account Number bhi jaan sakta hai ya phir or detail apka Date of Birth, Address or bhi kai personal information jo ki safe nahi hai. Inhi sab baato ko dhyan me rakhkar Government of india Aadhaar Card ko safe banney ke liye kuch kadam utha rahi hai.

Virtual Aadhaar ID Card Kya Hota Hai?

Apke Adhaar card ke number ko safe banney ke liye government of india lane ja rahi hai 16-Digit Aadhaar Virtual ID. Issey pehle jab apke paas 12 Digit ka jo Aadhaar card number hota hai wo apna Aadhaar number hi rahega lekin ussay chupane ke liye taki koi apka Aadhar number jaan na sake uske upar ek mask ki tarah ek mukhota laga rahi hai or apko ek Virtual Aadhar card number generate karne ko kaha ja raha hai. Taki aap hamesha wahi vitual Aadhaar Card ID hamesha use kare or apka original Aadhaar card number kisi ko pata na chale. Jab bhi apko Sim lena ho ya phir Bank me account khulwana ho aap har jagah is Aadhaar Virtual ID Card ka prayog kar sakengey. Aisa karne say apna Name Photo or bahut si limited jankari jo ki allowed hai wahi jankari hi pata ki ja sakengi.

Apka original Aadhaar card Number wahi rahega lekin Jo Virtual Aadhaar card Id hai ussay apko kud hi generate karna hoga. Virtual aadhaar id generate karne ki suruwat 1 March 2018 say hogi. Isey generate karne ke liye apko Aadhar card ki official website par jakar karna hoga Jab iski suruwat hoti hai tab apki blog ke madhyam say iski poori janakri di jayegi. Iske alawa aap UIDAI ke aap say bhi aap apna vertual Aadhar Card ID generate kar sakte hai. 

Aapka Virtual Aadhar Crad ID kewal Aap hi generate kar sakte hai or wo unique hoga. Iske awala aap apni marji say apna Virtual Aadhaar Card ID Number chage bhi kar sakte hai. Aagar koi apka Virtual Aadhaar card Id number jaan bhi jata hai to aap ussay change bhi kar sakte hai. Naya Virtual Aadhaar Card Id number banaey par apka purana Aadhaar Virtual ID card Number reject ho jayega jissey yadi apka Virtual Aadhaar number koi jaan bhi jata hai to us number ko change karke apni jankari ko surakshit kar sakte hai. Is process ko aap kai baar kae sakte hai.

FACEBOOK SE PAISE KAISE KAMAne ke tarike HINDI me!

KUCH MAHATWAPORN JANKARIYA
Kya hai virtual Aadhaar ID?
Virtual Aadhaar ek 16 Digit ka kalpanik Aadhaar ID Number hai.

Virtual Aadhaar ID ki kya jaroorat hai?
Apna Original Aadhaar number chipane ke liye Virtual Aadhaar ID ki Jaroorat hai.

Virtual Aadhaar kaha se or kaise bana sakte hai?
Virtual Aadhaar ID aap UIDAI ki official website Ya phir UIDAI ke official Application say banawa sakte hai.

Virtual Aadhar ID kab se bana sakte hai?
Virtual Aadhaar ID aap 1 March 2018 say UIDAI ki Official website ya app Par bana sakte hai.

Virtual Aadhar ID Kitni baar bana sakte hai?
Virtual Aadhaar ID aap kai baar bana sakte hai. Nayi Virtual Aadhaar ID banaey par Purani Virtual Aadhaar ID Regect ya nirasth kar di jayegi.

Kya Virtual Aadhaar ID bananey par original 12 digit ka aadhaar number bekar ho jayega?
Nahi Virtual Aadhaar Id banney par original 12 digit ka aadhaar number bekar nahi hoga.

Kya Virtual Aadhaar ID bananey har jagah naya Virual Aadhaar ID hi dena hoga?
App har jagah Virtual Aadhaar ID de sakte hai par aisa jarrori nhai hai aap apna original Aadhaar number bhi de sakte hai.


Post a Comment

0 Comments

Ad Code

Free Hosting